Date:- September 2013 at School

Pyar Jab ho jata hai, Ye dil kahi kho jata hai
Nhi Rahta hosh, jab Intezaar kisi ka ho jata hai

Ye aakhein Sapne dekhne lagti hai,
Pyar mohbbat ki baate sachi Lagne lagti hai
Gaana gaane ka karta hai man,
Jab uski Aawaz Mithi lagne lagti hai

Sachool se Jee Churane wale, school mein jaane lagte hai
Tera Didaar karne ko
nye nye bahane banene lagte hai

Pyar Jab ho jata hai, Ye dil kahi kho jata hai
Nhi Rahta hosh, jab Intezaar kisi ka ho jata hai

Jab wo pass hoti hai Samy ki raftaar tez ho jati hai
Jab usse door hota hu Raftaar dheemi padh jati hai
Dil pagal ho jata hai, jab yaad uski aati hai

Pyar Jab ho jata hai, Ye dil kahi kho jata hai
Nhi Rahta hosh, jab Intezaar kisi ka ho jata hai

Fir Bike lekar Usske gaao Barhana Jate hai
Aur Didaar karke uska aate hai
Dil kahta hai baate karne ko
Lakh koshisho ke baad bhi
Tumse kah nhi pate hai

Pyar Jab ho jata hai, Ye dil kahi kho jata hai
Nhi Rahta hosh, jab Intezaar kisi ka ho jata hai

fir Roj ki Tarh Chhup-Chhup kar didaar karte hai
Nhi kah pate tumse kitna pyar karte hai
Har lamha Tumhaar hi intezaar karte hai

Pyar Jab ho jata hai, Ye dil kahi kho jata hai
Nhi Rahta hosh, jab Intezaar kisi ka ho jata hai

         Bharat Thakur

Post a Comment